Dhanya Dhanya Song Lyrics is from Classically Mild Movie. It is Sung by Sonu Nigam. Dhanya Dhanya Song Lyrics is written by Ajay Jhingran. Music is given by Deepak Pandit. Dhanya Dhanya Song Lyrics featuring by Urmila Matondkar, Aftab Shivdasani
Kaliya khadiya main kaliya ladiya main
Kaliya khadiya main kaliya ladiya main
Kadra na hoiya meriya..
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Apne liye tu soche na (x2)
Maa hai kabhi tu..
O maa hai kabhi..
Maa hai kabhi tu beti
Premika hai kabhi patni behan si
Premika hai kabhi patni behan si
Jaane jag tujhe kyun pooje na
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Apne liye tu soche na
Iss jeevan ke har mausam ka hai aakarshan tu
Ha sang se tere rang hain saare
Roop ka darpan tu
Chhalke toh saari duniya pe chhaye
Simte toh, keval mann mein samaaye
Jeevati devi khoye na
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Apne liye tu soche na
Jab tujhpe main geet likhun,
Lage shabd bahut kam hain.
Phir bhi jeevan ke udgam ki,
Palke kyun nam hain.
Naye ghar jaaye vansh badhaye
Khushiya baante, pyar lutaaye
Khulke kabhi tu roye naa
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Apne liye tu soche na
Kaliya khadiya main kaliya ladiya main
Kaliya khadiya main kaliya ladiya main
Kadra na hoiya meriya..
Maa hai kabhi tu..
Maa hai kabhi tu..
Maa hai kabhi tu beti
Premika hai kabhi patni behan si
Premika hai kabhi patni behan si
Jaane jag tujhe kyun pooje na
Dhanya dhanya naari jeevan
Auron ko hi tu arpan
Apne liye tu soche na?